Tuesday 18 September 2012

Agar Na Hote "DOST"

Yunhi betha tha akela ek din,
Lag raha tha adhura yaaron ke bin..
Raat ki tanhayi ko mehsus kar raha tha,
khud ke akelepan .
me soch raha tha,
kya hoti zindagi, agar na hote "DOST"
kya hoti meri masti inke bin.
Jeena inhine sikhaye,
aur ek dusre ke liye marna bhi.
Wo chai lagti hai fiki inke bin,
wo party nahi inke bin,
woh khushi nahi bina dost ke '
Aur wo college ke din hain adhure inke bin.
Inhone hi sikhaya jeena ek saath
aur pakde rehna ek dusre ka haath..
Bas ab kuch aur na chaiye,
Jab ye hain sang, Zindagi me hai rang.
Bas ek hi khwab hai aur,
na aaye kabhi aisi raat jo kaate inke bin
aur na mehsus karun me akelapan aur
raat ki tanhayi jab ye hain sang..
Rahein humesha sang ye banke ZINDAGI
aur pakde ek dusre ka haath

aur rahein humesha SAATH, humesha SAATH..

No comments:

Post a Comment